Tuesday 1 November 2011

Waqt ki daastan...



 Ye waqt jo gujar raha hai haathon se mere...
Jane kya keh raha hai kaanon mein mere...

Keh raha hai shayad .. jo aaj hai wo kal nahi hoga
Par jo aaj nahi hai .. shayad wo kal hoga...
Badalta hun har pal har kshan mein mein,
Tho nahi rahunga tere liye bhi ek jaisa mein...

Nahi ruka hun kabhi kissi ke liye mein
Nahi thaka hun kabhi chalte huye mein
Beete palon se sikha hai humesha mene
Humesha chalte rehna iss Jindagi mein...

Jee sako agar .. tho jeelo har pal jindagi mein..
Jo pal beet gaya .. tho laut kar aata nahi jindagi mein...
            Bator lo har pal mein khushiyan iss kadar tum
            Ki fir reh na jaye koi gamm iss jindagi mein...

Nahi kabhi laga sakte, koi mol mera tum
Kyunki sabhi ke liye hota hun, anmol mein...
Laga nahi sakte mera mulya kissise tum
Kyunki hun is duniya mein, sabse amulya mein...

Thakna mat chalte hue kabhi in akeli raahon mein tu...
Rukna mat jivan ki kathin paristhitiyon mein tu..
Himmat se aagey bhadte rehna tu
Aur apna honsla kabhi na harna tu...

 Ye waqt jo gujar raha hai haathon se mere...
Jane kya keh raha hai kaanon mein mere...

3 comments:

  1. Nahi ruka hun, nahi thaka hun
    Beete palon se sikh raha hun
    aage padhna hai mera usool
    nahi batana mujhe fizool


    Nahi kabhi laga sakte,koi mol mera
    Kyunki sabhi ke liye hun ek anmol mohra... Laga nahi sakte mera mulya kissise
    amulya hun mein har kisisse...

    I changed something hope u like it

    ReplyDelete
  2. heyy anant nice lines ... well u can also try ur hand on poetry :) thankss for d comment :)

    ReplyDelete