Tuesday 1 November 2011

Jindagi aur Sangharsh



Jindagi ki paheli koi samajh na paye...
Ek chote shabd mein jaise kitne arth samaaye...
Iss shabd ke rahasya mein jo prani dub jaye...
Tho wo apni jindagi ka har pal jee jaye....

Koi kehta hai dosti jindagi hai..
Koi kehta hai mohabbat jindagi hai..
Hum tho bas itna kehte hai ki, jiyo agar har pal jee bhar ke....
Tho bas wo har ek pal jindagi hai....

Jindagi tho naam hai sukh ka aur dukh ka
Ye aashiyan hai gamon ka aur khushiyon ka
Chalte hai yahan sikke ke dono pehlu
Ye tho chalka sa jaam hai nafrat aur mohabbat ka...

Agar ho waisa, jaisa sab chaho tum
Agar ho khushiyan hi khushiyan aur gam kabhi na pao tum
Agar ho na koi aansu koi gam jivan mein tumhare
Tho batao uss sukh ki ehmiyat kaise fir pao tum..??

Mana jindagi nahi hai waisi jaise kabhi sochi thi tumne
Mana jindagi mein sangharsh kiya hai humesha, har pal tumne
Mana jindagi ke har mod par sahi hai rukawatein aur badhaye tumne
Par girkar humesha uth kar chalne ka honsla bhi dikhaya hai tumne...

Kya hua aaj jo nahi hai waqt tumhare sath
Kya hua aaj jo hai nahi kismat ka sath
Nahi hote har din ek jaise mere yaar
Dinon ke fer se fir badal jayegi tumari baat...

Seekhate hai sangharsh jindagi ke tujhe......
Bahane hai na aansu gammo pe tujhe !!!
Har musibat se datkar ladna hai tujhe...
            Anth tak jeetne ka jajba rakhna hai tujhe...
Khud ke vishwas ko kabhi na khone dena tu...
            Dil mein humesha umangon ki udaan bharna tu...!!!

Rukna mat, darrna mat, thak ke yun haarna mat...
            Vipdaon ke samne apna sar jhukana mat...
Fir dekhna khuda ki tu rehmat
            Aur kya rang layegi teri mehnat...

Sapne dekhna tu kabhi na chod
            Unko pura karne ki umeed mat tod
Everythin ll be fine as i told
            Kyunki waitin for u is somewher sukh ki road... J

Khuda bhi hota hai us bandhe se khush
            Jo karta hai humesha apni limits ko push...
Chalti ka naam hi gadi hai baabu
            Aur jeena issi ka naam hai khushboo...!! J

5 comments:

  1. Finally i see you here....

    ofcourse you write amazing, I very well know that.... but this has a very beautiful possitive approach which is what one needs today.....

    is gaadi ko chalne do mere dost :)

    ReplyDelete
  2. nice one gudiya, just like it that way keep it up. Gudiya kabhi na rukna, bas poetry ke raah par chalti hi jaana

    ReplyDelete
  3. thankss everyone :) and yes its just a begining i promise u.. :)

    ReplyDelete
  4. all ur poem r very very good ... all the best for future ... keep writing

    ReplyDelete