Sunday 6 November 2011

Intezaar....

Hi friends.. well this poem was written long long back seeing a friend's loneliness... she inspired me to write a poem and thus i discovered a poetess in me.. the poem is gloomy but ends in a positive note though... so here it is.. 

Intezaar..... 

Hai dard kitna dil mein jata nahi sakte hum ..
hai tanhaiyan chayi kitni yahan dikha nahi sakte hum ..
nahi bata sakte kitna ladd rahe hai jindagi se hum ..
thak gaye hai akele chalte chalte in raahon mein ab hum ..
jane kab aayegi wo suraj ki kiran..?
jane kab hoga khushiyon se milan..?
kab aayega wo kshan jindagi mein ..
bas jiska intezaar karte hai hum...........

mann rehta hai bahut udaas ..
na koi raha jo iss dil k paas ..
na kuch rahi jindagi mein aas ..
bujhti nahi kyun iss tanhai ki pyaas .. ? ?
bhar aati hai aankhen humari.....
kho gayi hai jo yaarii humari......
jane kisski nazar laggi hai jindagi mein ..
bas kissiki chahat ka intezaar karte hai hum.........

tanhaiyon se darrte hai ab hum ..
tammanaon se girre rehte hai ab hum ..
jane kahan khoye ja rahe hai hum ..
tut raha hai ab humare himmat ka dum ..
dukhi mann mein khoye khoye se rehte hai hum ..
dhundhta hai dil, ab bas ek humdum
jane kab aayega wo jindagi mein ..
bas usika intezaar karte hai hum...........

Ek ek pal kaat rahe hai us pal k intezaar mein
us khushi k intezaar mein ..
us chahat k intezaar mein ..
mere intezaar ki intehaan na lena e khuda!!
Bikharne se pehle mujhe sambhal lena e khuda..!!!!

2 comments:

  1. Nice composition .... just read this using mein in place of hum it would give a different outlook... I read this way and I loved it...

    ReplyDelete